Wednesday, February 02, 2005

listening to sana riaz sing ghalib today was like....was like....standing on the moor, but wearing red. and blowing kisses into the wind. absolutely mind-swoggling, beautifully sung verse.

irshad:

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhi to na torr sakta agar oostuwaar hota

koi mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
koi chaarasaaz hota, koee ghamguzaar hota

rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

gham agarche jaan_gulis hai, pe kahaan bachain ke dil hai
gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar hota

kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
mujhe kya bura tha marna? agar ek baar hota

hue mar ke ham jo ruswa, huey kyun na gharq-e-dariya
na kabhee janaaza uthata, na kaheen mazaar hota

kaun dekh sakta ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota

ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan Ghalib!
tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota


wah, bhai. wah. lutff aagaya aaj. 'kya kehne hain?' as nana would say.

Mina at 9:02 PM

1 comments